Devbhoomi ke naam se jaane jaane vaale hamare Uttarakhand rajya me paryatan ek aisa feilds hai jo kayi logon ko Uttrakhand me Rojgar ke avsar pradaan karta hai. Uttrakhand me ghumne aur Trekking ke liye kayi adorable places hain, aur unhin me se ek hai “Sahastra Tal.”
Sahastra Tal Uttarakhand ke hidden gems me se ek hai, jo trekkers ke liye ek adventurous destination hai. Ye trek Uttarakhand ke Garhwal region me sthit hai aur ye region apni khubsurti aur peace ke liye famous hai. Sahastra Tal ko Uttarakhand ka second largest high altitude lake mana jata hai, jo lagbhag 4,900 meters ki uchai par sthit hai.
Sahastra Tal Trek Route (starting point)
Sahastra Tal trek ka starting point Uttarkashi district ka Kalyani village hai. Yahan tak pahunchne ke liye pehle aapko sabse phle Uttarkashi se Kalyani tak drive karni hoti hai. Kalyani se trek ki starting hoti hai jo aapko lush green forests, alpine meadows, aur snow-capped mountains ke beech se le kar jati hai.
Sahastra Tal Trek distance aur duration
Sahastra Tal ka Trek lagbhag 50-60 kilometers ka hota hai aur ise complete karne me around 7-8 din lagte hain. Is trek ke dauran trekkers ko challenging terrains face karni padti hain, lekin jo bhi is safar ko complete karta hai, wo iske mesmerizing views aur adventure ko kabhi nahi bhoolta. Best time to visit in Sahastra Tal trek
June se September ke beech ka jo time hota hai vo Sahastra Tal trek ke liye visit karne ka best time hota hai. Monsoon ke baad yahan ka mausam pleasant hota hai aur trek ke raaste bhi clear rehte hain. Is time par aapko nature ka real beauty dekhne ko milta hai. Sahastra Tal trek ek aisa experience hai jo nature lovers aur adventure seekers ke liye perfect hai. Yahan ka sukoon aur wilderness aapko Uttarakhand ki asli khoobsurti se rubaru karata hai. Haal hi me kuch samay pehle ek dukhad ghatna ke wajah se bhi Sahastra Tal trek news me aya tha kyonki yahan trekking karne aaye kuch trekkers ko extreme weather ka samna karna pada, jisse kuch logo ki maut ho gayi. Is khabar ko aap Pioneer Edge aur ETV Bharat News par aasani se dekh skate hain. Indian Air Force aur SDRF ne rescue operations chalaye, jisme kaafi trekkers ko bachaya gaya, lekin kuch log apne jaan gawa baithe. Fir bhi, ye trek adventurers ke beech popular bana hua hai kyunki yahan ke high-altitude lakes aur challenging terrains logon ko apni taraf attract karte hain. Agar aap is trek par jaane ka plan bana rahe hain, to weather updates aur safety protocols ko zarur follow karein taaki aapka experience surakshit rahe.Important tips
What’s New about Sahastra Tal trek?