Where is snowfall in Uttarakhand today?

Uttarakhand ki khoobsurati bayan kar pana mushkil hai kyonki yahan nature ke itne sundar-sunder views dekhne ke liye milte hain jinki aap kalpana bhi anhin kar sakte, ye apne khubsoorat pahadon aur snowfall ke liye mashhoor hai.

Aaj agar aap jaan-na chahte hain ki Uttarakhand ke kis region me barf gir rahi hai, toh yeh article khas taur par aapke liye hi hai. December se February tak yahan kaafi places me heavy snowfall hota hai, lekin October ke baad se hii kuch regions me snowfall shuru ho jaata hai.

Uttarakhand me kayi tourist Snowfall ke time par visit karte hain aur Skiing, Snowboarding, aur Trekking karna pasand karte hain jisse ki Uttrakhand ke snowfall vaale area me rehne vaale logon ko rojgar ke avsar prapt hote hain.

Weather ki baat karen to is hisab se bhi Uttrakhand ki 2 Capitals hain pehli Dehradun aur dusri Gairsain. Dehradun ke kayi areas me snowfall hote rehta hai, jaise Mussoorie. Gairsain Uttrakhand ki grishmkaaleen rajdhani hai, garmiyon me log yahan visit karna kaafi pasand karte hain apne Summer vacantions manaane.

Aaj ke Liye Snowfall Update:

  • Chopta: Aaj ke din Chopta region mein snowfall hone ki sambhavna hai, jo trekking aur nature lovers ke liye ideal hoga.
  • Auli: Auli, jo skiing ke liye famous hai, aaj snowfall experience kar sakta hai.
  • Munsiyari: High-altitude areas jaise Munsiyari mein aaj snowfall dekhne ko mil sakta hai.
  • Kedarnath: Kedarnath aur aaspaas ke regions mein bhi snowfall ka forecast hai, jo yatra route ko affect kar sakta hai.

Uttarakhand ke Snowfall Months aur Locations:

Uttarakhand ke Snowfall Months aur Locations

Niche di gayi is table me hamne uttarakhand ki un locations ko mention kiya hai jahan jyadatar sanowfall hota hai, ya Uttrakhand me kis samay par kahan snowfall hota hai ye sab bhi is table me aapko milega

LocationBest Snowfall PeriodSpecial Attractions
AuliDecember – FebruarySkiing, Snowboarding
MunsiyariNovember – MarchTrekking, Panchachuli Peaks
ChoptaDecember – MarchTungnath Temple, Trekking
NainitalJanuary – FebruarySnow-viewing, Boating
DhanaultiDecember – FebruaryPeaceful Snowy Landscapes
MussoorieDecember – JanuaryPopular Hill Station, Snowfall
HarsilDecember – MarchOffbeat Snow Destination
KedarnathNovember – MarchPilgrimage with Snow Surrounding
Best Snowfall Places in Uttarakhand

Snowfall ke Time Me Kya Dhyan Rakhein?

Agar aap bhi uttarakhand aakar snowfall enjoy karna chahte hain to aap ye tips jarur follow karen, kyonki me apne experience bata sakti hu Uttarakhand ke pahadi ilakon me bina snowfall ke bhi kaafi thand hoti hai, aur snowfall me to kaafi challenges hote hain.

  • Warm clothes aur waterproof boots zaroor le jaayein.
  • Roads kuch regions me snowfall ke kaaran band ho sakti hain, toh travel plans accordingly banayein.
  • Snowfall ki update aaj kal easily aapko apps ya weather websites se mil sakti hai, toh travel karne se pehle check zaroor karein.

Uttarakhand ke ye regions har saal heavy snowfall experience karte hain, aur yeh waqt hai explore karne ka!

Leave a Comment